Monday, 15 February 2016

Contact baab

Contd....

MUKAASHAFATUL QULOOB

BAAB 68

Part  6

Ahmed ne HAZRATE IBNE UMAR رضي الله عنهما  se riwaayat ki hai, UNHONE farmaya jis shakhs ne 10 dirham ka kapda khareeda aur usmein ek dirham haraam ka tha, jab tak woh kapda uske jism par rehta hai , ALLAH TA'ALA uski namaaz qubool nahi farmata, phir UNHONE apne dono kaanon mein ungliyaan daakhil karke farmaya ke agar MAINE NABI E KAREEM ﷺ ko yeh farmate huwe naa suna hota to yeh dono behre ho jaayein.
Baihaqi ki riwaayat hai ke jisne chori ka maal khareeda haalaanke  woh jaanta hai ke yeh chori ka maal hai to woh bhi uski ruswaayi aur gunaah mein shareek hoga.
HAAFIZUL MUNZIRI ne qaabil e hasan asnaad ya mauqoof sanad ke saath aur Ahmed ne ba-sanad e jaiyyad ye Hadees naql ki hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya qasam hai USKI JISKE DASTE QUDRAT mein MERI jaan hai ke tum mein se koi apni rassi lekar pahaad ki taraf nikal jaaye aur lakdiyaan ikhatti karke peeth par laadkar le aaye aur unhein bechkar khaaye woh us sey behtar hai ke woh apne munh mein haraam ka luqma daale.

To be contd....

No comments:

Post a Comment